Recent News

Rani Lakshmi Bai

Rani Lakshmi Bai ka jeevan parichay
Birth:- 19 November 1828
Death :- 18 June 1858 'Gualiyar'
Place :- Varanasi

Lakshmi Bai ka Janm Varanasi Mein 19 November 1828  ko Ek Marathi Parivar mein hua tha Unki Mata ka naam Bhagirathi Bai aur Pita ka naam moropant Tha unke bachpan ka naam Manikarnika tha par log unhe Pyar Se 'Manu'  kehkar pukarte the Unki Mata ka death Ho Jane Ke Baad unke Pita hi Unki dekhbhal Kiya Karte The bachpan mai hi vidhya ke sath hi unhe sastro ka bhi gyaan ho gaya tha. Unhe bachpan se hi sastro ke prati lagaao ko dekh unke pita ne bhi unhe sastr vidha sikhne ki anumati de di. Unke pita us se bohut Pyaar karte the.
            San 1842 me unka vivah Jashi ke Raja Gangadhar Rao Nevalkar ke Saath hua. Raja ki peahli patni ki mrityu ho Jaane ke kaaran unhe Jashi ke utradhikar ke liye dusra vivah karna pada. Unki yudh vidhya itni achi thi ki unka naam Manikarnika se Rani Lakshmi Bai rakha gaya. Vivah ke 8 saal Baad san 1853 me unhone ek putr ko Janm diya. Parantu 4 maah Baad hi uski mrityu ho gai. Or kuch mahine Baad hi san 1853 me Raja Gangadhar rao ki bhi tabiyat bohut jyaada kharab ho gayi jiske kaaran unhe datak putr lene ki salah di gai. Unhone putr ka naam damodar rao rakha. Or 21 October 1853 ko raja Gangadhar Rao ki Mrityu Ho Jaane ke baad Britani Raj ke dwara Raj hadap Niti Ke tahat baalak Damodar Rao ke khilaf Adalat mein mukadma Kar Diya Gaya aur is mukadme mein bahut bahas Hui par court ne is mukadme ko khaarij kar diya Jisse Brittany Raj ke duara mukadma kharij ho jane ke Karan Rajya Ka Khazana jabt kar liya gaya or Raja ke karj ko chukaane ke liye Rani ko saalana kharch me se chukana padta tha. Isi Karan se Rani Lakshmi Bai ko Apna Mahal Chhod Kar jana pada. Par Rani Laxmibai Ne Haar Nahi Maani Jhansi ke Rajy ki raksha karne ka nishaay kar liya.
 Jashi ke rajy  ko 1857 me kranti ka pramukh kendr banaya gaya.
 Taatya tope or Rani Lakshmi Bai ne milkar Brittani Raj ke khilaaf yudh kiya or 18 june 1858 ko 29varsh ki age me gualiyar ke Paas kota saray me Ladte hue Rani Lakshmi Bai ki mrityu ho gai.

subscribe to my blog MTS INDIA pe click kare
or paaye bohut saari jaankari hindi me....

Aaj ka Rashifal jaanne ke liye click kare
Share on Google Plus

About Rahul Sarkar

www.hindigklearn.com

Monthly post list